Yeh jo lab per hai ruki ruki, Meri saans mien hai dabi dabi
Woh baat lamhe fishar ki, is zindagi key hisar ki
Yeh justujoo rukay gi kab, loh-e-Nagahan thamay gi kab
Hai aas choop jaanay ki ab, or Arzoo faraar ki
Sawal hai ya jawab hai, nakhl hai ya saraab hai
is ajnabi se shehr mien, na baat apnay Dayar ki
Chalay subhoo shamm dagar dagar, aaj is gali kal us nagar
Milay sirf dhool Kay kaflay, or bastiaan ghubaar ki
Lagaay daagh sir pey jo dooh liyay, kabhi haans Paraay, kabhi ro liyay
Hoyay choor pair bhi na mil sakein, humhein manzilein qarar ki
Ruka hoa na Chala hoa, ek khel Ajab hai racha hoa
Hai Baazi yeh Bari munfarid, jeet ki na haar ki
Woh jab hoa or joon hoa, Kab hoa or kion hoa
bass bhi kar do ab Omer, yeh baat hai bekaar ki
0 comments:
Post a Comment