Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bicharna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono Tavaafe Aarzu Karte
Magar Phir Aarzuon Ka Bikharna Bhi Zaruri Tha
Batao Yaad Hai Tum ko, wo Jab Dil Ko Churaya Tha
Churayi Cheez Ko Tumne, Khuda Ka Ghar Banaya Tha
Wo Jab Kehte The Mera Naam Tum Tasbee Mein Parhte Ho
Mohabbat Ki Namaazo Ko Qazaa Karne Se Darte Ho
Magar Ab Yaad Aata Hai, wo Baatein Thi Mehaz Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein, Mukarna Bhi Zaroori Tha
Wahi Hain Sooratein Apni, wahi Hu Main wahi Tum Ho
Magar Khoya Hun Main, Magar Tum Bhi Kahin Ghom Ho
Mohabbat Mein Daghaa Ki Thi So Kaafir The So Qaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi, Musafir The Musafir Hain
Tere Dil Ke Nikaale Hum, Kahaan Bhatke Kaha Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya, Bhatkna Bhi Jaruri Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi, Bicharna Bhi Jaroori Tha
0 comments:
Post a Comment