Teri Duniya se Sanam Laut k Aaon Kaise

Teri Duniya se Sanam Laut k Aaon Kaise
Khud ko Main Yaad Nahi Tujh ko Bhulaaon
Kaise

Ab To Har Shakal Se Hai Soorat-e-Janaa'n
Zaahir
Har Taraf Aag hai Daaman ko Bachaaon Kaise

Hussan Waala Bhi Khareedar-e-Zulekha Nikla
Tujh ko Bazaar ka Dastoor Bataaon kaise

Aa K Kar De Meri Tameer Nayi Phir TU Hi
Girti Deewaar Hoon Main khud ko Uthaaon
Kaise

Kiyon Milaayi Thi nazar mujh se Qayaamat Jaisi
Mehshar-e-Dil Main Tujhe Aaj Dikhaaon Kaise

Be-Khudi Par Tera Ehsaan Bahut hai Saqi
TU Hi Ye Mujh Ko Bata Hosh Mein Aaon kaise

Mere Har Shair Mein Posheeda Hai Us ki
Soorat
Ay Ghazal ! Rukh Se Tere Parda Uthaaon Kaise

Shama Har Rang Mein Jalti Hai Saher Hone Tak
Misra-e-Hazrat-e-Ghalib Ko Chupaaon kaise






"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

https://facebook.com/mehroz717

Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment