Khud se mil jatay tu chaahat ka bharam reh jata..

Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay..
Hum ko tuhfay ye tumhen dost bananay se mile..

Hum tarastay hi tarrastay hi tarastay hi rahay..
Wo falaanay se falaanay se falaanay say milay..

Khud se mil jatay tu chaahat ka bharam reh jata..
Kya milay aap jo logon k milaanay se milay..

Kabhi likhwanay gaye khatt kabhi parhwaye gaye
khatt..
Hum hasinon se isi heelay bahaanay se milay..

Ik naya zakhm mila aik nayi umar mili..
Jab kisi sheher me kuch yaar puranay se milay..

Aik ham hi nahi phirrtay hain liye qissa e gham..
Un k khamosh Labbon par bhi fasaanay se milay..

Kaisay manayen k unhen bhol gaya to ae kaif..
Un k khatt aaj hamen tere sarhaanay se milay..
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment