Milan Ki Aas Hai Faqat Hum Gham K Maron Ko

Haqeqit Kar Gaya Zahir
Sitamgar Youn Juda Ho Kar..
K Pathar Ka Sanam Tha Wo Jo Milta Tha Khuda Ho
Kar..

Gham E Doraan Gham E Yaraan
Gham E Janaan Gham E Hijraan..
Ajab Ek Lutf Paya Hai Ghamon Say Aashna Ho Kar..

Bhanwar Min Chor Kar Mujh Ko
Chala Q Janib E Sahil..
Safeena Doobnay Tak To
Wo Rukta NaKhuda Ho Kar..

Mujay Dhutkaar Na Zalim
Tu Chokhat Par To Rehnay Day..
Khara Hun Deed Ki Khatir
Faqeer E BeNawa Ho Kar..

Ye Meri Shayri Sari
Teri Chahat Pe Mabni Hai..
Jo Kaghaz Pe Bikhrti Hai
Mery Dil Ki Sada Ho Kar..

Milan Ki Aas Hai
Faqat Hum Gham K Maron Ko
Warna Kab K Dunya Se
Chalay Jatay Khafa Ho Kar..
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment