Hukam yeh hum ko mila us ke siwaa kuch mangiye,

Khamoshi mein shor tha mene suna kuch bhi nahin, 
Us ne sab kuch de diya lekin kuch kuch bhi nahin, . 

Tujh ko kya maloom aye jaan-e-jahan tere bagher, 
Mera jeevan katt geya aur mein jiya kuch bhi nahin, . 

Hukam yeh hum ko mila us ke siwaa kuch mangiye, 
Uth gaye dast-e-dua, lab par dua kuch bhi nahin, . 

Teri khatir umar bhar ka rat'jaga hum ko kubool, Chahton main aik shab ka jaagna kuch bhi nahin, . 

Pyar se dekha mujhe lab bhi hilay us ke Khaleel, 
Dil dharrak utha mera lekin hua kuch bhi nahin..
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment