Khushbu�on ke nazool jesa tha,

Khushbu'on ke nazool jesa tha,
Woh jo ik shakhss phool jesa tha,

Hum zamaney ko le ker kya kartey,
Us ke qadmon ki dhool jesa tha,

Main usey bhool hi nahin paati,
Woh meri pehli bhool jesa tha,

Us ko paana to yun bhi mushkil tha,
Aap apne khasool jesa tha,

Sofia main bhi thi anaa ki tarah,
Woh bhi apne asool jesa tha..
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment