Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese,

Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese,
Tera milna bhi judaayi ki gharri ho jese,

Apne hi saaye se har gaam larazz jaata hoon,
Raaste main koi deewaar kharri ho jese,

Kitne nadaan hain tere bhoolne wale ke tujhe,
Yaad karne ke liye umr parri ho jese,

Tere maathe ki shikkan pehle bhi dekhi thi magar,
Yeh giraah ab ke mere dil main parri ho jese,

Manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain,
Apne hi paaon main zanjeer parri ho jese,

Aaj dil khol ke roye hain to yuun khush hain Faraz,
Chand lamhon ki yeh raahat bhi barri ho jese..

Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment