Apne Uljhe Huwy Din Raat Bhi Suljha Na Sake

Apne Uljhe Huwy Din Raat Bhi Suljha Na Sake
Itney Befaiz Hain Khud Apney Hi 
Kaam Aa Na Sake

Saaya e Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh e Khushi Pa Na Sake

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Un Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sake

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Un Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sake

Daastan Kehne Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sake Dil Unhein Dilkhla Na Sake

Khilti Kaliyon K Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhre Phoolon Se Jo Poocha Tu Woh Samjha Na Sake
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment