Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhi Samjhaaney Ko
Is Se Kiya Faraq Parray Ga Teray Deewaaney Ko
Jis Qadar Weham Hain Sab Us K Atta KarDaa Hain
Liye Phirtaa Hoon Kisi Aur K Butt Khaaney Ko
Ye Hunar Wo Hai Jo Dil Se Kabhi Seekha Na Gaya
TU Ne To Jorr Liya Torr K Paimaaney Ko
Kiya Koi Khail Hai Be Naam o Nishaan Ho Jaana
Waisey Shamma Bhi Tayaar Hai Jall Jaaney Ko
Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Se MulaaQaat Huwi
Main Milaa Hoon Kisi Jaaney Huwe Anjaany Ko
Aaj K Dukh Bhi Kisi Se Nahi Jhailay Jaatey
Yaad Matt Kar Kisi Bhooley Huwe Afsaanay Ko
Door Tak Raat Ki Aankhon Mein Kaheen Neend Nahi
Itna Sannata Hai K Aaye Koii Tarrpaanay Ko
Zindagi Bhar Mein Koi Shai To Mukammal Kar Lein
Aao Labraiz Karein Sabar K Paimaanay Ko
Ye Alag Baat K Eik Boond Muqqadar Mein Na Thi
Sar Pe So Baar Ghata Chaai Rahi Chaaney Ko
Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Shaam e Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahi Parwaaney Ko
0 comments:
Post a Comment