Usy Jis ROz Bhi Yaaro Sanwarte Hum Ny Dekhaa Hai

Usy Jis ROz Bhi Yaaro Sanwarte Hum Ny Dekhaa Hai
Tullu E Subh Ka Manzar Ubharty Hum Ny Dekha Hai

Ajab Tha Us Ki Angrai Ka Aalam Pesh Manzar Mein
Bahaaron KO Qataaron Mein Utartay Hum Ny Dekha Hai

Boht Hi Naaz Karta Tha JO Apni Sarfrazi Par
Haseen VO Chaand
Dariya Mein Utraty Hum Ny Dekha Hai

KOi TO Shakhs Bhi HOta
Jisy Hum Humsafar Kehty
Jisy Dekha Usy Rassta Badaltay Hum Ny Dekha
Hai

Milaai Roshni Sy Jab Nazar Tu Ny Mery Hum Dam
Teri Aankhon Mein Chandaa KO Sanwartay Hum Ny Dekha Hai

Nadi Thi Pursakon Pani Bhi Tha Thehra Huwa
Achanak Aik Pathar Sy Bipharty Hum Ny Dekha Hai
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment