Yeh zindagi hai meri, iss per haq hai mera iss per haq jatana, nahi hai haq tera...
Iss ka har faisla, hai marzi meri
Nahi qubool mujhe koi bandish teri;
Ae logon! chahat hai sambhalne ki tou sambhalo apni zindagi,
Khud ka hausla hai buland itna
Nahi zaroorat tere sambhalne ki
Ab asoolon se na bandhegi zindagi meri
Teri salah aur faislon per na chalegi zindagi meri...
Ab yehi ek asool hai baqi, issi per guzarni hai zindagi,
Ke jeena hai tou jiyo apni khushi se
Jee kar khush hona hai,tou suno apne dil ki
Kyun ke suni agar ab iss duniya walon ki
Tou jee kar bhi jee nahi paoge,
Khush hokar bhi muskura nahi paoge...
Itna mat socho yeh baat hai zara si
Yeh zindagi hai meri, iss per haq hai mera
Iss per haq jatana, nahi hai haq tera...
Poetry sender : Maira Saud
0 comments:
Post a Comment