Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Pochtay Hain

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Pochtay Hain
Tumhaari Aankh Ka Ehwaal Khuwaab Poochtay Hain

Kahaan Kahaan Howay Roshan Hamaaray Baad Charaagh
Sitaaray Deeda e Tar Se Hisaab Poochtay Hain

Wo Tashna Labb Bhi Ajab Hain Jo Mouj e Sehra Se
Suraagh e Habs Mizaaj e Saraab Poochtay Hain

Kahaan Basi Hain Wo Yaadain Ujaarna Hai Jinhain
Dilon Ki Baanjh Zameen Se Azaab Poochtay Hain

Baras Parri Teri Aankhain Tu Phir Ye Bhaid Khula
Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain

Hawaa Ki HamSafari Se Ab Aur Kiya Haasil
Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain

Jo Be Niaaz Hain Khud Apne Hussn Se Mohsin
Kahaan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hain
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment