Misaal e Abar Zameen Ka Libaas HO JaaOn

Misaal e Abar Zameen Ka Libaas HO JaaOn
Jo Youn Nahi TOu Samandar Ki Piyaas HO JaaOn

Tamzam Din Ki Karri DhOOp Main Ye SOchta HOOn
Main Shab K Pichley Pehr Ka Hiraas HO JaaOn

Ab Apney Wastey Kuch Mangney Se KhOuf Aaye
TO Haath Utha K Teri iltmaas HO JaaOn

Bujhi Bujhi Huwe AankhOn Ki Tairgi Ki Qasam
Tujhe Parhoon TO Sitaara Shanash HO JaaOn

Khushi Milli To Kayi Dard Mujh Se Rooth Gaye
Dua Karo K Main Phir Se Udaas HO JaaOn

Meri Kitaab Ke Unwaan Qareeb TO Aa
Main Apney Aap Tera Iqtabaas HO JaaOn

Ab Apney Aap Sanwarney Ka Shauq Kiya MOHSIN
Kise Ujartey Huwey Dil Ki Aass HO JaaOn
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment