To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi dhun ko suntay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi onchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main baith kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi dekh kar bhi nahi
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya
Share on Google Plus

About UsMan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment